Thursday, November 06, 2008

Ho kahin bhi aag, lekin aag jalni chahiye

Ho gayi hai peer (peer matlab dukh) parvat si, pighalni chaahiye,
Is himalaya se koi ganga nikalni chaahiye.

Aaj yeh deewaar pardon ki tarah hilney lagi,
shart lekin thi, ki yeh buniyaad hilni chahiye.

Har gali mein, har shahar mein, har nagar, har gaon mein,
haath lehraatee hue, har laash chalni chahiye.

Sirf hungaama khada karna mera maqsad nahin,
saari koshish hai, ki yeh soorat badalni chahiye.

Mere seene mein nahin, to tere seene mein sahi
ho kahin bhi aag, lekin aag jalni chahiye.

-Dushyant Kumar




3 comments:

  1. Anonymous12:16 AM

    Aag jarur jalni chahiye.sadi gali vyavastha ko jalane ke liye.

    ReplyDelete