Tuesday, August 12, 2008

"Srishti ke pehle Sat nahin tha"

"Srishti ke pehle Sat nahin tha"

Srishtee se pehle sat nahin thaa, asat bhi nahin
Antariksh bhi nahin, akash bhin nahin thaa
chhipaa thaa kyaa kahaan, kisne dhakaa thaa
us pal to agam, atal jal bhi kahaan thaa

Srishtee kaa kaun hai kartaa
Kartaa hai vaa akartaa
Oonche aakash mein rahtaa
Sada adhyaksh banaa rahtaa
Wahin sachmuch mein jaantaa..Yaa nahin bhi jaanataa
Hai kisi ko nahin pataa, nahin pataa,
Nahin hai pataa, nahin hai pataa

Weh tha hiranyagarbh srishti se pehle vidyamaan
Wahi to saare bhoot jaat ka swami mahaan
jo hai astitvamaana dharti aasmaan dhaaran kar
Aise kis devta ki upasana karein hum avi dekar

Jis ke bal par tejomay hai ambar
Prithvi hari bhari sthapit sthir
Swarg aur sooraj bhi sthir
Aise kis devta ki upasana karein hum avi dekar

Garbh mein apne agni dhaaran kar paida kar
Vyapa tha jal idhar udhar neeche upar
Jagaa chuke vo ka ekameva pran bankar
Aise kis devta ki upasana karein hum avi dekar

Om ! Srishti nirmata swarg rachiyata purvaj raksha kar
Satya dharma palak atul jal niyamak raksha kar
Phaili hain dishayen bahu jaisi uski sab mein sab par
Aise hi devta ki upasana kare hum avi dekar
Aise hi devta ki upasana kare hum avi dekar

3 comments:

  1. Anonymous2:32 AM

    Hi,

    I was searching for this. Thanks for posting.can you please post it in devanagiri as it is difficult to read in english?

    thanks.

    ReplyDelete
  2. I am too happy and glad to get this in internet. Thank you. May God Bless you

    ReplyDelete
  3. I am too happy and glad to get this in internet. Thank you. May God Bless you

    ReplyDelete